Blogroll



  •  Woh mujhe is bichhar ker ab



Woh mujhe is bichhar ker ab tak roya nahi ghalib,

Koi tu hai hamdard  jo ussay ronay nahi deta



  •  Kion tum yaad aatay ho itna



Kion tum yaad aatay ho itna?

Kion hum ko tum tarpatay ho itna ?

gum sum gum sum hain shahir se hum

Kion itna humhain statay ho tum ?

Tumhain khyaloon se agar nikaal bhi dain

tu khawab main aa jatay ho,

Hum luboon se nahi kartay izhaar-e-muhabbat,

Kion ankhen nahi pardh patay ho tum ?



  •  Tumhain denay ko hamary paa



Tumhain denay ko hamary paas kuch bhi nahi hai

Hamary buss main thi zindagi, woh bhi tumharay naam kar dee !



  •  Bichhra kuch is adaa se keh



Bichhra kuch is adaa se keh rut hi badal gayee,

ik shakhs sarey shaher ko wiraan kar giya.



  •  nainan ki kaal kothri main 



nainan ki kaal kothri main karlon tujh ko band

na main daikhon ghair ko na tuhai daikhney doon



  • Yun tu ulfat kay takazay ba



Yun tu ulfat kay takazay bahut,

ek woh zalim bahut, ek hum ziddi bahut !



  •  log kehtay hain main gilla 



log kehtay hain main gilla kion nahi karti,

woh jo rooth gaya hai ussay

bura bhalla kion nahi kehti,



magar, Jiss se muhabbat ki jaye, kia uss ki koi baat bhi buri lag sakti hai ??????





issi liye , main kuch nahi kehti :(



  •  kash tum meray bagair na re



kash tum meray bagair na reh pati,

yun rastay main chhor ke na jati

agar yaqeen hota thora sa bhi,

meri chahat par, ya phir meri wafa par



tu ek dafa tu sochti, mera kia ho ga?

main tu nahi reh sakta

main tu mar jaon ga,

kaash ek safa soch lia hota,

mujhe chhor janay se pehle !



  • Dekho, jab tak yeh chand 



Dekho,

jab tak yeh chand sitaray hain,

jab tak mausam yuhin suhanay hain,

jab tak falak par neelgoon rang chamakay ga,

jab tak yeh koilain yunhin gungunayen gi,



tab tak, hum sirf tumharay hain !

Hamara yaqeen karo, hum sirf tumharay hain !



  •  Tabdeeli Jab Bhi Aati Hae M



Tabdeeli Jab Bhi Aati Hae Moasam Ki Adaon Mein..!

Kisi Ka Yun Badel Jana Bohat Hi Yaad Aata Hae..!











No comments:

Post a Comment